NewsBe Safe and Aware
Trending

Extention of Lockdown

Corona virus ke badhate Case ke vzha se badhaya gaya lockdown period

Pradhan Mantri Narendra Modi ji ne aaj announce ki lockdown ki avdhi (period) ko 3 may 2020 tak kar di gayi hai|

Yeh decision sabhi ke sahmati ke saath liya gaya hai state ke sabhi mantriyo dwara ye nivedan tha ki lockdown ki avdhi ko badhaya jaye jisse ki corona mahamari ko rokne me saath mile

Ye lockdown isliye badhaya gaya kyuki roj hi corona ke marijo ki sankhya me badhautri ho rahi hai.

Isse mein yadi lockdown ko hata diya jaayega to corona ke marijo ki sanskhya ki roktham me mushkil khadi ho jaayegi.

Isliye lockdown ki avdhi ko badhane mein hi samjdari hai, kyuki yeh pure desh ke jeevan ki baat hai.

Pradhan Mantri Narendra Modi ka kehna hai jaan haffect i to jahan hai, kyuki corona virus ki vzha se sabhi kaam ko rok diya gya hai jisse desh mein economy financial status per bhut bada effect pada hai.

Lekin yeh samya aisa hai ki logo ki jaan sarwopari hai sabse aham hai, Jaan rahega to hum economy ko dobara sambhala jaa sakta hai, aur sab thik ho jaayega.

Pradhan Mantri ka sabhi janta ye yeh anurodh hai ki sabhi apne gharo mein hi rahe kahi bahar na jaayein jab tak bahut zaroori kaam na ho.

Bina vzha ghar se bahar na nikle kyuki isse humari hi jaan per khtra badhega hum apni jaan bhi jokhim mein dalenge aur apne logo ka bhi.

Pradhan mantri dwara yeh btaya gaya jiss area me sabse kam corona virus ke case rahenge uss area me thodi bhut chhut di jaayegi zaroori kaamo ko khol diya jaayega usski bhi shartein rakhi hai.

Yadi uss area mein dobara case badhta hai to uss area ke sabhi chhut (offer) ko turant band kar diya jaayega.

Prandhan mantri dwara yeh bhi btaya gaya ki 15 April to 20 april tak sabi states me Police station head office aur sabhi zaroori offices area ki baariki se jaanch ki jaayegi ki waha lockdown ka kiss tarah se follow kiya jaa raha hai.

Yadi uss jagah lockdown ka sahi se palan nahi kiya jaa raha hoga to uss area ke against kade kadam uthaye jaayenge.

Social distance ka bahut dhyaan rakhe aur kisi se hanth na milaye na kareeb jaayein.

Yadi aap gharo se bahar niklte hai to mask lagana na bhule kyuki ye humare or aapke jaan ke suraksha ke liye bahut zaroori hai.

PM Nrendra Modi ka yeh nivedan hai ki jo greeb ho jinke pass 2 waqt ke bhojan ka prabandh na ho unki sahyata karein yahi Pradhan Mantri Narendra Modi ki sabse bada samman hog.

Inn sabhi jaankariyo ko aap tak pahuchana humara farz hai. Aap sabhi logo se request hai ki apne ghar me rahe aur lockdown ka sahi se follow kare,

jisse ki yeh virus humare desh duniya se jaldi se jaldi khatam ho aur hum dobara apni zindagi khul kar aur bina kisi darr ke jee sake.

Related Articles

Back to top button